Sher-o-sayari

Thursday, August 27, 2009

Gaam Soya hai Jagayae Kaun

Dard Apnata hai Parayae ko
Kaun Sunta hai aur Sunayae kaun
Kaun Dohrayae Puranai Batien
Gaam abhi Soya hai jagayae kaun

Labels: ,

Friday, May 02, 2008

Kisi Aur Ka Naseeb

Khuli Jo Aankhe To Manzar Ajeeb Tha...
Dard Tha Magar Wo Dil Ke Kareeb Tha...
Jinhe Hum Dhoondhte The Haatho Ki Lakiro Mein...
Pata Chala Wo Kisi Aur Ka Naseeb Tha...

Wednesday, April 16, 2008

Unka Khwab

Dil chahe dekhna unhe to bataon, Aankho ka kya kasoor...
Har pal mehsoos ho jo unki khusbu, To saanso ka kya kasoor...
Vaise to khwaab pooch kar nahi aate,
Magar har roj unka khwab aaye to raaton ka kya kasoor...
Yun to dil kisis pe aata nahi, koi nikal ker le jaye to batao isme hamara kya kasoor...!!!

Thursday, March 22, 2007

Tumhari Yaad

Yaad karte hai tumhe tanhai mein
Dil dooba hai gamo ki gehrai mein
Hume mat dhoondna duniya ki bhid mein
Hum millenge tumhe tumhari parchaai mein.

------------------------------------------

Roz yaad karta hoon teri yadon ko
Raat ko sochta rehta hoon teri baton ko
Bhool na paonga tujh ko
Tu acha laga hai meri ankhon ko.

Wednesday, August 30, 2006

Aap Ki Yaad

Zuban se keh nahi sakte,
Khuda se fariyaad karte hain...
Jab tumhara dil zor se dhadke,
To samajh lena hum tumhe yaad karte hain...

--------------------------------------------
Shaam ke baad milti hai raat..
Har baat mein samai hui hai aapki yaad..
Bahut tanha hoti ye zindagi...
Agar nahi milta jo aapka saath..

Wednesday, July 19, 2006

Pyaar Ki Saza

Aapki aadat hai zakhm dene ki
Apni toh fitrat hai gum chupane ki
Ab toh aadat c pad gayi hai aansu pi jane ki
Kya haseen saza di hai aapne dil lagane ki.

------------------------------------------

Shikwa nahin koi zindagi se magar,
ek shikayat khuda se zarur hai,
jazbat kyu diye tune hume,
jab duniya me pyar karna kasoor hai???

Monday, July 10, 2006

Yaad

Taras gaye hain hum aapke paas aane ke liye,
Dil-O-Jaan mita dein aapka pyaar paane ke liye
Hum Yeh SMS kar rahe hain, apni yaad dilane ke liye.

--------------------------------------------

Mausam ki nazakat hai,
Hasraton ne pukara hai..
Kaise kahe ki kitna miss karte hain Aap ko,
Yeh SMS usi yaad ka ek ishara hai..