Sher-o-sayari

Wednesday, July 19, 2006

Pyaar Ki Saza

Aapki aadat hai zakhm dene ki
Apni toh fitrat hai gum chupane ki
Ab toh aadat c pad gayi hai aansu pi jane ki
Kya haseen saza di hai aapne dil lagane ki.

------------------------------------------

Shikwa nahin koi zindagi se magar,
ek shikayat khuda se zarur hai,
jazbat kyu diye tune hume,
jab duniya me pyar karna kasoor hai???

Monday, July 10, 2006

Yaad

Taras gaye hain hum aapke paas aane ke liye,
Dil-O-Jaan mita dein aapka pyaar paane ke liye
Hum Yeh SMS kar rahe hain, apni yaad dilane ke liye.

--------------------------------------------

Mausam ki nazakat hai,
Hasraton ne pukara hai..
Kaise kahe ki kitna miss karte hain Aap ko,
Yeh SMS usi yaad ka ek ishara hai..

Monday, July 03, 2006

Aap Ki Kami

Aaj kuch kami hai tere bagair,
Na rang na roshni hai tere bagair.
Waqt apni raftaar se chal raha hai,
Bas dhadkan thami hai tere bagair.

------------------------------------

Waqt guzarta raha par sansein thami thi,
Muskura rahe the hum, par ankhon mein nami thi,
Sath hamare ye jahan tha sara par Aap ki kami thi.