Sher-o-sayari

Saturday, June 25, 2005

Aap ki yaad

Dur hote hue bhi dosti ka rishta nibhate hai aap,
Na jane kyo dil ko lubhate hai aap,
Yeh kaisa karishma hai aapka,
Jo hum ko itna yaad aate hai aap.

-------------------------------------------------------------

Roz taron kee numaaish mein khalal padta hai,
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai,
Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo,
Dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai.

Monday, June 20, 2005

Zakhm

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo,
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo,
Log muththi bhar namak liye ghooma karte hain,
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo.

------------------------------

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo,
Aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo.
Log har baat ka afsana bana lete hain,
Sab ko haalaat apni sunaya na karo.
Pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo,
Dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo.

Monday, June 13, 2005

Gum ki Muskurahat

Yeh dunya badi ajeeb hai,
Jahan Gum chupana padta hai,
Dil main chahe lakh Gum ho,
Mehfil main muskurana padta hai.

-----------------------------

Dua Mangi thi aashiyane ki,
Chal padi aandhiya jamane ki,
Mera Gum koi na samajh saka,
Kyonki meri adat thi muskurane ki.

Friday, June 10, 2005

Dard-e-dil

Humne socha hum hi chahte hai aapko,
Magar aapko chahne walonka to kaffila nikla,
Dil ne chaha shikayat karu khuda se per wo,
Khuda bhi aapko chahne wala nikla.

--------------------------------------------

Shabd bhi ruk gaye dard ki tarah
Sans bhi tham gai dil ki dhadkano ki tarah,
Kambakhat kushiya bhi jaane lagi,
Tere dur jaane ki tarah...

Tuesday, June 07, 2005

Unki Yaad

Bhoolne waale se koyi kehde zara,
Is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaate nahin,
Phir khayaalon mein aane se kya faaida.

------------------------------------

Bhoolneki tujhe najane hum kitne vade karthe hain,
Kaise bhoolu tujhe, yeh sochker tume yaad karthe hain,
Jab bhi hotha hai zikr zamane mein pyaar aur wafaa ki,
To tumhe bewafa ke bahane yaad karthe hain.

Thursday, June 02, 2005

Dosti ke naam

Nanhe se dil mai armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid mai pehchan koi rakhna,
Acha nahi lagta jab rehte ho udas,
In hoton pe sada muskan vahi rakhna.

-------------------------------------

Kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate,
Kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate,
Kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate,
Aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chorre nahi jaate.