Sher-o-sayari

Tuesday, September 13, 2005

Dosti

Kahi ankahi batoon ki ada hai Dosti
Har dukh-dard ki dava hai Dosti
Zameen par kami hai pujne walo ki
Varna is zameen par khuda hai Dosti.

-------------------------------------------------

Kuch kehte hai dosti pyar hai,
Kuch kehte hai dosti zindagi hai,
Hum kehte hai DOSTI dosti hai.
Jise badhkar na pyar hai na zindagi hai.

Friday, September 09, 2005

Meri jaan

Milega tera Pyaar to sanwar Jyenge,
Nahi to is duniya mein bikhar jayenge,
Tum rahte ho sanam is jism mein jaan bankar,
Chhod ke ise jaoge to hum mar jayenge.

------------------------------------

Mere chehare ki hansi ho tum,
mere dil ki har khushi ho tum,
Mere hontho ki mushkan ho tum,
Dhadakta hai mera ye dil jishke liye,
Woh meri jaan ho tum.

Sunday, September 04, 2005

Chup hoon

Zindagi hai nadan isliye chup hoon,
Dard hi dard subah shaam isliye chup hoon,
Keh du zamane se dastan apni,
Usme ayega tera naam isliye chup hoon.

--------------------------------

Samjha na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bin soche he de diya,
Sah gaye jo hum agar dard ko chupke se,
To duniyabalon ne humko patthar dil keh diya.