Sher-o-sayari

Sunday, June 25, 2006

Tanhai

Yeh dil tere pyar ka talabgaar bahut hai,
Kya kare hume aapse pyar bahut hai,
Kab tak jiyenge yun tanhaiyon mein,
Hume aapke aane ka intezaar bahut hai.

----------------------------------------

Khuda kisi ko kisi pe fida na kare,
Kare to qayamat tak juda na kare,
Yeh mana ki koi marta nahi judai mein,
Lekin jee bhi to nahi pata tanhai mein.

Tuesday, June 20, 2006

Pyaar ka Nasha

Tere Pyaar mein ek Nasha hai,
Tabhi to ye duniya ham se khafa hai,
Na Karo Humse Itni Mohhabat Nidhi,
Ki dil hi puche Teri Dhadkan kahaan hai...

----------------------------------------

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Humein aap yun hi sharabi na kahiye,
Is dil par asar to aap se mulakat ka hai.

Thursday, June 15, 2006

Pyaar Ka Izhaar

Ankhon ki zuban woh samajh nahi pate,
hooton se hum bhi kuch keh nahi pate,
Apni bebasi hum kis tarah kahe,
koi hai jiske bina hum reh nahi pate.

-----------------------------------

Tumhe chahana hamari kamzori hai,
Tumse keh nahi pana hamari majburi hai,
Tum kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar roz karna zaruri hai..

Sunday, June 11, 2006

Kab Honge Aap Hamare Pass

Yun to aapko roz yaad kiya karte hai,
Man hi man me dekh liya kate hai,
Kya huaa agar aap paas nahi aate,
Hum to dil hi dil me mulakat kar liya karte hai.

--------------------------------------------

Bina aapke ankhon mein nami rahti hai,
Hame hamesha aapki kami rahti hai,
Dil se aati hai bas ek hi awaj
Jane kab honge aap hamare pass...

Thursday, June 08, 2006

Ye Dil !!

Dil Ko Manana Agar Hota Aaasaaan
Na Karta Mujhe Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan.

--------------------------------------

Kash ye pal yahi ruk jate,
Tujhe milane ko hum daude chale aate,
E-Khuda etna ek kaam to kiya hota,
Ek dil is bedard waqt ko bhi diya hota.